tabiat bujh gai jab se tere didar ko tarse
tabī.at bujh ga.ī jab se tire dīdār ko tarse
agar ab niiñd bhī aatī hai uTh jaate haiñ bistar se
hameñ ma.ashūq ko apnā banānā tak nahīñ aatā
banāne vaale ā.īna banā lete haiñ patthar se
zabāñ se aah niklī dil se naala āñkhoñ se aañsū
magar ik terī dhun hai jo nikaltī hī nahīñ sar se
are nādān sachchā chāhne vaalā nahīñ miltā
vo lailā thī ki jis ko mil gayā majnūñ muqaddar se
milan-sārī bhī sīkho jab nigāh-e-nāz paa.ī hai
mirī jaañ aadmī aḳhlāq se talvār jauhar se
ḳhudā kī shaan matlab-āshnā aise bhī hote haiñ
butoñ ne ban ke but sajda karāyā pahle but-gar se
safī' ko muskurā kar dekh lo ġhusse se kyā hāsil
use tum zahr kyoñ dete ho jo martā hai shakkar se
tabiat bujh gai jab se tere didar ko tarse
agar ab nind bhi aati hai uTh jate hain bistar se
hamein mashuq ko apna banana tak nahin aata
banane wale aaina bana lete hain patthar se
zaban se aah nikli dil se nala aankhon se aansu
magar ek teri dhun hai jo nikalti hi nahin sar se
are nadan sachcha chahne wala nahin milta
wo laila thi ki jis ko mil gaya majnun muqaddar se
milan-sari bhi sikho jab nigah-e-naz pai hai
meri jaan aadmi aKHlaq se talwar jauhar se
KHuda ki shan matlab-ashna aise bhi hote hain
buton ne ban ke but sajda karaya pahle but-gar se
safi' ko muskura kar dekh lo ghusse se kya hasil
use tum zahr kyon dete ho jo marta hai shakkar se
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 169)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.