tabiat rafta rafta KHugar-e-gham hoti jati hai
tabī'at rafta rafta ḳhūgar-e-ġham hotī jaatī hai
vahī ranj-o-alam haiñ par ḳhalish kam hotī jaatī hai
ḳhushī kā vaqt hai aur aañkh pur-nam hotī jaatī hai
khilī hai dhuup aur bārish bhī chham-chham hotī jaatī hai
ujālā 'ilm kā phailā to hai chāroñ taraf yaaro
basīrat aadmī kī kuchh magar kam hotī jaatī hai
kareñ sajda kisī but ko gavāra thā kise lekin
jabīñ ko kyā kareñ jo ḳhud-ba-ḳhud ḳham hotī jaatī hai
tujhe hai fikr merī mujh se baḌh kar ai mire maulā
mujhe darkār hai jo shai farāham hotī jaatī hai
uThī kyā ik nigāh-e-lutf phir apnī taraf yaaro
ki har TuuTī huī ummīd qaa.im hotī jaatī hai
baḌā ghāTe kā saudā hai 'sadā' ye saañs lenā bhī
baḌhe hai 'umr jyūñ-jyūñ zindagī kam hotī jaatī hai
tabi'at rafta rafta KHugar-e-gham hoti jati hai
wahi ranj-o-alam hain par KHalish kam hoti jati hai
KHushi ka waqt hai aur aankh pur-nam hoti jati hai
khili hai dhup aur barish bhi chham-chham hoti jati hai
ujala 'ilm ka phaila to hai chaaron taraf yaro
basirat aadmi ki kuchh magar kam hoti jati hai
karen sajda kisi but ko gawara tha kise lekin
jabin ko kya karen jo KHud-ba-KHud KHam hoti jati hai
tujhe hai fikr meri mujh se baDh kar ai mere maula
mujhe darkar hai jo shai faraham hoti jati hai
uThi kya ek nigah-e-lutf phir apni taraf yaro
ki har TuTi hui ummid qaim hoti jati hai
baDa ghaTe ka sauda hai 'sada' ye sans lena bhi
baDhe hai 'umr jyun-jyun zindagi kam hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.