sochta hun ki apni raza ke liye chhoD dun
sochtā huuñ ki apnī razā ke liye chhoḌ duuñ
vo jo kahtā hai us ko ḳhudā ke liye chhoḌ duuñ
chūmne ke liye thaam rakhkhūñ koī dam vo haath
aur vo paañv rañg-e-hinā ke liye chhoḌ duuñ
shahr ko saare logoñ meñ taqsīm kar duuñ magar
chand galiyāñ maiñ apnī sadā ke liye chhoḌ duuñ
ḳhvāhisheñ tañg haiñ dil ke andar agar tum kaho
ye kabūtar tumhārī fazā ke liye chhoḌ duuñ
kār-e-mushkil to hai hī magar maiñ bhī majbūr huuñ
ibtidā ko agar intihā ke liye chhoḌ duuñ
merā hargiz bhī koī bharosā nahīñ hai agar
maiñ ravā ko yahāñ nā-ravā ke liye chhoḌ duuñ
ye bhī mumkin hai ḳhud se kisī din guzarte hue
apne TukḌe kahīñ jā-ba-jā ke liye chhoḌ duuñ
ab ye sochā hai muTThī meñ umr-e-baqāyā mirī
jo bhī hai ek der-āshnā ke liye chhoḌ duuñ
ḳhud se bāhar nikal jā.ūñ maiñ aur ḳhud ko 'zafar'
koī din jañgaloñ kī havā ke liye chhoḌ duuñ
sochta hun ki apni raza ke liye chhoD dun
wo jo kahta hai us ko KHuda ke liye chhoD dun
chumne ke liye tham rakhkhun koi dam wo hath
aur wo panw rang-e-hina ke liye chhoD dun
shahr ko sare logon mein taqsim kar dun magar
chand galiyan main apni sada ke liye chhoD dun
KHwahishen tang hain dil ke andar agar tum kaho
ye kabutar tumhaari faza ke liye chhoD dun
kar-e-mushkil to hai hi magar main bhi majbur hun
ibtida ko agar intiha ke liye chhoD dun
mera hargiz bhi koi bharosa nahin hai agar
main rawa ko yahan na-rawa ke liye chhoD dun
ye bhi mumkin hai KHud se kisi din guzarte hue
apne TukDe kahin ja-ba-ja ke liye chhoD dun
ab ye socha hai muTThi mein umr-e-baqaya meri
jo bhi hai ek der-ashna ke liye chhoD dun
KHud se bahar nikal jaun main aur KHud ko 'zafar'
koi din jangalon ki hawa ke liye chhoD dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.