soch mein Duba hua hun aks apna dekh kar
soch meñ Duubā huā huuñ aks apnā dekh kar
jī laraz uTThā tirī āñkhoñ meñ sahrā dekh kar
pyaas baḌhtī jā rahī hai bahtā dariyā dekh kar
bhāgtī jaatī haiñ lahreñ ye tamāshā dekh kar
ek din āñkhoñ meñ baḌh jā.egī vīrānī bahut
ek din rāteñ Darā.eñgī akelā dekh kar
ek duniyā ek saa.e par taras khātī huī
lauT kar aayā huuñ maiñ apnā tamāshā dekh kar
umr bhar kāñToñ meñ dāman kaun uljhātā phire
apne vīrāne meñ aa baiThā huuñ duniyā dekh kar
soch mein Duba hua hun aks apna dekh kar
ji laraz uTTha teri aankhon mein sahra dekh kar
pyas baDhti ja rahi hai bahta dariya dekh kar
bhagti jati hain lahren ye tamasha dekh kar
ek din aankhon mein baDh jaegi virani bahut
ek din raaten Daraengi akela dekh kar
ek duniya ek sae par taras khati hui
lauT kar aaya hun main apna tamasha dekh kar
umr bhar kanTon mein daman kaun uljhata phire
apne virane mein aa baiTha hun duniya dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.