shaguftagi se gae, dil-giraftagi se gae
shaguftagī se ga.e, dil-giraftagī se ga.e
ham aaj ḳhalvat-e-jāñ meñ bhī be-dilī se ga.e
gila kareñ bhī to kis se vo nā-murād-e-junūñ
jo ḳhud zavāl kī jānib baḌī ḳhushī se ga.e
sunā hai ahl-e-ḳhirad kā hai daur-e-ā.inda
ye baat hai to samajh lo ki ham abhī se ga.e
ḳhudā kare na kabhī mil sake davām-e-visāl
jiyeñge ḳhaak agar tere ḳhvāb hī se ga.e
hai ye bhī ḳhauf hameñ be-tavajjohī se sivā
ki jis nazar se tavaqqo.a hai gir usī se ga.e
maqām kis kā kahāñ hai, buland kis se hai kaun?
miyāñ ye fikr karoge to shā.irī se ga.e
har ek dar pe jabīñ Tekte ye sajda-guzār
ḳhudā kī khoj meñ nikle the aur ḳhudī se ga.e
samajhte kyuuñ nahīñ ye shā.er-e-karaḳht-navā
suḳhan kahāñ kā jo lahje kī dilkashī se ga.e
galī thī sahn kā hissa hamāre bachpan meñ
makāñ baḌe hue lekin kushādgī se ga.e
barā.e ahl-e-jahāñ laakh kaj-kulāh the ham
ga.e harīm-e-suḳhan meñ to ājizī se ga.e
ye tez raushnī rātoñ kā husn khā ga.ī hai
tumhāre shahr meñ ham apnī chāñdnī se ga.e
faqīh-e-shahr kī har baat maan lo chup-chāp
agar savāl uThāyā, to zindagī se ga.e
na pūchhiye ki vo kis karb se guzarte haiñ
jo āgahī ke sabab aish-e-bandagī se ga.e
uThāo raḳht-e-safar, aao ab chalo 'irfān'
hasīñ yahāñ ke to sab ḳhū-e-dilbarī se ga.e
shaguftagi se gae, dil-giraftagi se gae
hum aaj KHalwat-e-jaan mein bhi be-dili se gae
gila karen bhi to kis se wo na-murad-e-junun
jo KHud zawal ki jaanib baDi KHushi se gae
suna hai ahl-e-KHirad ka hai daur-e-ainda
ye baat hai to samajh lo ki hum abhi se gae
KHuda kare na kabhi mil sake dawam-e-visal
jiyenge KHak agar tere KHwab hi se gae
hai ye bhi KHauf hamein be-tawajjohi se siwa
ki jis nazar se tawaqqoa hai gir usi se gae
maqam kis ka kahan hai, buland kis se hai kaun?
miyan ye fikr karoge to shairi se gae
har ek dar pe jabin Tekte ye sajda-guzar
KHuda ki khoj mein nikle the aur KHudi se gae
samajhte kyun nahin ye shaer-e-karaKHt-nawa
suKHan kahan ka jo lahje ki dilkashi se gae
gali thi sahn ka hissa hamare bachpan mein
makan baDe hue lekin kushadgi se gae
barae ahl-e-jahan lakh kaj-kulah the hum
gae harim-e-suKHan mein to aajizi se gae
ye tez raushni raaton ka husn kha gai hai
tumhaare shahr mein hum apni chandni se gae
faqih-e-shahr ki har baat man lo chup-chap
agar sawal uThaya, to zindagi se gae
na puchhiye ki wo kis karb se guzarte hain
jo aagahi ke sabab aish-e-bandagi se gae
uThao raKHt-e-safar, aao ab chalo 'irfan'
hasin yahan ke to sab KHu-e-dilbari se gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.