kitni mushkil se bahla tha ye kya kar gai sham
kitnī mushkil se bahlā thā ye kyā kar ga.ī shaam
hañste gaate dil ko pal meñ tanhā kar ga.ī shaam
duur ufuq par kis kī āñkheñ ro ro ho ga.iiñ laal
ret kināre kis kā āñchal giilā kar ga.ī shaam
ātā, chāhe koī na aatā aas to thī din bhar
ab kyā rasta dekheñ rasta dhundlā kar ga.ī shaam
mere bichhḌe dost se kitnī miltī-jultī hai
aa.ī aur aa kar āñkhoñ ko dariyā kar ga.ī shaam
duur pahāḌī kī choTī par rotī rah ga.ī dhuup
raat añdhere se duniyā kā saudā kar ga.ī shaam
panchhī lauTe maahī lauTe to bhī lauT 'hasan'
dhartī ambar kā manzar suunā kar ga.ī shaam
kitni mushkil se bahla tha ye kya kar gai sham
hanste gate dil ko pal mein tanha kar gai sham
dur ufuq par kis ki aankhen ro ro ho gain lal
ret kinare kis ka aanchal gila kar gai sham
aata, chahe koi na aata aas to thi din bhar
ab kya rasta dekhen rasta dhundla kar gai sham
mere bichhDe dost se kitni milti-julti hai
aai aur aa kar aankhon ko dariya kar gai sham
dur pahaDi ki choTi par roti rah gai dhup
raat andhere se duniya ka sauda kar gai sham
panchhi lauTe mahi lauTe to bhi lauT 'hasan'
dharti ambar ka manzar suna kar gai sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.