aankhon ke kashkol shikasta ho jaenge sham ko
āñkhoñ ke kashkol shikasta ho jā.eñge shaam ko
din bhar chehre jam.a kiye haiñ kho jā.eñge shaam ko
saare peḌ safar meñ hoñge aur gharoñ ke sāmne
jitne peḌ haiñ utne saa.e lahrā.eñge shaam ko
din ke shor meñ shāmil shāyad koī tumhārī baat bhī ho
āvāzoñ ke uljhe dhāge suljhā.eñge shaam ko
shaam se pahle dard kī daulat maujeñ haiñ be-nām sī
dariyāoñ se mil ke dariyā bal khā.eñge shaam ko
sub.h se āñgan meñ āñdhī hai añdhiyārā hai dhuul hai
shāyad aag churāne vaale ghar ā.eñge shaam ko
aankhon ke kashkol shikasta ho jaenge sham ko
din bhar chehre jama kiye hain kho jaenge sham ko
sare peD safar mein honge aur gharon ke samne
jitne peD hain utne sae lahraenge sham ko
din ke shor mein shamil shayad koi tumhaari baat bhi ho
aawazon ke uljhe dhage suljhaenge sham ko
sham se pahle dard ki daulat maujen hain be-nam si
dariyaon se mil ke dariya bal khaenge sham ko
subh se aangan mein aandhi hai andhiyara hai dhul hai
shayad aag churane wale ghar aaenge sham ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.