sham ki rakh badan par mal kar qashqa khinch sitaron se
shaam kī raakh badan par mal kar qashqa khīñch sitāroñ se
raat siñghāsan apnā hī hai kah de hijr ke māroñ se
kuchh be-hangam āvāzeñ thiiñ kuchh saa.e se phirte the
āñkheñ muuñd ke guzre the ham duniyā ke bāzāroñ se
aur achānak jī uThte haiñ band kivāḌoñ vaale log
chhan-chhan kar āvāz sī koī aatī hai dīvāroñ se
ruuh ke vīrāñ tah-ḳhāne tak roz koī aa jaatā hai
tanhā.ī ke mausam vaalī ḳhālī rāh-guzāroñ se
kashtī kab kī Duub chukī hai lekin ab tak us kā pata
dariyā dariyā pūchh rahā hai jaane kaun kināroñ se
diye kī āḳhirī saañs bujhī aur aañkh uThī ākāsh kī samt
kitne hī sar jhāñk rahe the raat kī nam dīvāroñ se
sham ki rakh badan par mal kar qashqa khinch sitaron se
raat singhasan apna hi hai kah de hijr ke maron se
kuchh be-hangam aawazen thin kuchh sae se phirte the
aankhen mund ke guzre the hum duniya ke bazaron se
aur achanak ji uThte hain band kiwaDon wale log
chhan-chhan kar aawaz si koi aati hai diwaron se
ruh ke viran tah-KHane tak roz koi aa jata hai
tanhai ke mausam wali KHali rah-guzaron se
kashti kab ki Dub chuki hai lekin ab tak us ka pata
dariya dariya puchh raha hai jaane kaun kinaron se
diye ki aaKHiri sans bujhi aur aankh uThi aakash ki samt
kitne hi sar jhank rahe the raat ki nam diwaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.