sarab-e-jism ko sahra-e-jaan mein rakh dena
sarāb-e-jism ko sahrā-e-jāñ meñ rakh denā
zarā sī dhuup bhī is sā.ebāñ meñ rakh denā
tujhe havas ho jo mujh ko hadaf banāne kī
mujhe bhī tiir kī sūrat kamāñ meñ rakh denā
shikast khaa.e hue hausloñ kā lashkar huuñ
uThā ke mujh ko saf-e-dushmanāñ meñ rakh denā
jadīd nasloñ kī ḳhātir ye varsa kaafī hai
mire yaqīñ ko hisār-e-gumāñ meñ rakh denā
ye mauj tā-ki safīne ko garm-rau rakkhe
kuchh aag ḳhema-e-āb-e-ravāñ meñ rakh denā
bahut tavīl hai kaale samundaroñ kā safar
mujhe havā kī jagah bādbāñ meñ rakh denā
maiñ apne zimme kisī kā hisāb kyuuñ rakkhūñ
jo nafā hai use jaib-e-ziyāñ meñ rakh denā
sarab-e-jism ko sahra-e-jaan mein rakh dena
zara si dhup bhi is saeban mein rakh dena
tujhe hawas ho jo mujh ko hadaf banane ki
mujhe bhi tir ki surat kaman mein rakh dena
shikast khae hue hauslon ka lashkar hun
uTha ke mujh ko saf-e-dushmanan mein rakh dena
jadid naslon ki KHatir ye warsa kafi hai
mere yaqin ko hisar-e-guman mein rakh dena
ye mauj ta-ki safine ko garm-rau rakkhe
kuchh aag KHema-e-ab-e-rawan mein rakh dena
bahut tawil hai kale samundaron ka safar
mujhe hawa ki jagah baadban mein rakh dena
main apne zimme kisi ka hisab kyun rakkhun
jo nafa hai use jaib-e-ziyan mein rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.