halka halka surur hai saqi
halkā halkā surūr hai saaqī
baat koī zarūr hai saaqī
terī āñkhoñ ko kar diyā sajda
merā pahlā qusūr hai saaqī
tere ruḳh par hai ye pareshānī
ik añdhere meñ nuur hai saaqī
terī āñkheñ kisī ko kyā deñgī
apnā apnā surūr hai saaqī
piine vāloñ ko bhī nahīñ ma.alūm
mai-kada kitnī duur hai saaqī
halka halka surur hai saqi
baat koi zarur hai saqi
teri aankhon ko kar diya sajda
mera pahla qusur hai saqi
tere ruKH par hai ye pareshani
ek andhere mein nur hai saqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna surur hai saqi
pine walon ko bhi nahin malum
mai-kada kitni dur hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.