samajhta hun main sab kuchh sirf samjhana nahin aata
samajhtā huuñ maiñ sab kuchh sirf samjhānā nahīñ aatā
taḌaptā huuñ magar auroñ ko taḌpānā nahīñ aatā
ye jamunā kī hasīñ amvāj kyuuñ argan bajātī haiñ
mujhe gaanā nahīñ aatā mujhe gaanā nahīñ aatā
ye merī ziist ḳhud ik mustaqil tūfān hai 'aḳhtar'
mujhe in ġham ke tūfānoñ se ghabrānā nahīñ aatā
samajhta hun main sab kuchh sirf samjhana nahin aata
taDapta hun magar auron ko taDpana nahin aata
ye jamuna ki hasin amwaj kyun argan bajati hain
mujhe gana nahin aata mujhe gana nahin aata
ye meri zist KHud ek mustaqil tufan hai 'aKHtar'
mujhe in gham ke tufanon se ghabrana nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.