samajhna fahm gar kuchh hai tabii se ilahi ko
samajhnā fahm gar kuchh hai tabī.ī se ilāhī ko
shahādat ġhaib kī ḳhātir to hāzir hai gavāhī ko
nahīñ mumkin ki ham se zulmat-e-imkān zaa.il ho
chhuḌā de aah koī kyuuñ ke zañgī se siyāhī ko
ajab aalam hai īdhar se hameñ hastī satātī hai
udhar se nīstī aatī hai dauḌī uzr-ḳhvāhī ko
na rah jaave kahīñ tū zāhidā mahrūm rahmat se
gunahgāroñ meñ samjhā kariyo apnī be-gunāhī ko
na lāzim nīstī us ko na hastī hī zarūrī hai
bayāñ kyā kījiye ai 'dard' mumkin kī nanāhī ko
samajhna fahm gar kuchh hai tabii se ilahi ko
shahadat ghaib ki KHatir to hazir hai gawahi ko
nahin mumkin ki hum se zulmat-e-imkan zail ho
chhuDa de aah koi kyun ke zangi se siyahi ko
ajab aalam hai idhar se hamein hasti satati hai
udhar se nisti aati hai dauDi uzr-KHwahi ko
na rah jawe kahin tu zahida mahrum rahmat se
gunahgaron mein samjha kariyo apni be-gunahi ko
na lazim nisti us ko na hasti hi zaruri hai
bayan kya kijiye ai 'dard' mumkin ki nanahi ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.