tum apna ranj-o-gham apni pareshani mujhe de do
tum apnā ranj-o-ġham apnī pareshānī mujhe de do
tumheñ ġham kī qasam is dil kī vīrānī mujhe de do
ye maanā maiñ kisī qābil nahīñ huuñ in nigāhoñ meñ
burā kyā hai agar ye dukh ye hairānī mujhe de do
maiñ dekhūñ to sahī duniyā tumheñ kaise satātī hai
koī din ke liye apnī nigahbānī mujhe de do
vo dil jo maiñ ne māñgā thā magar ġhairoñ ne paayā hai
baḌī shai hai agar us kī pashemānī mujhe de do
tum apna ranj-o-gham apni pareshani mujhe de do
tumhein gham ki qasam is dil ki virani mujhe de do
ye mana main kisi qabil nahin hun in nigahon mein
bura kya hai agar ye dukh ye hairani mujhe de do
main dekhun to sahi duniya tumhein kaise satati hai
koi din ke liye apni nigahbani mujhe de do
wo dil jo main ne manga tha magar ghairon ne paya hai
baDi shai hai agar us ki pashemani mujhe de do
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 356)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.