saz ye kina-saz kya jaanen
saaz ye kīna-sāz kyā jāneñ
naaz vaale niyāz kyā jāneñ
sham.a-rū aap go hue lekin
lutf-e-soz-o-gudāz kyā jāneñ
kab kisī dar kī jab.ha-sā.ī kī
shaiḳh sāhab namāz kyā jāneñ
jo rah-e-ishq meñ qadam rakkheñ
vo nasheb-o-farāz kyā jāneñ
pūchhiye mai-kashoñ se lutf-e-sharāb
ye mazā pāk-bāz kyā jāneñ
bale chitvan tirī ġhazab rī nigāh
kyā kareñge ye naaz kyā jāneñ
jin ko apnī ḳhabar nahīñ ab tak
vo mire dil kā raaz kyā jāneñ
hazrat-e-ḳhizr jab shahīd na hoñ
lutf-e-umr-e-darāz kyā jāneñ
jo guzarte haiñ 'dāġh' par sadme
aap banda-navāz kyā jāneñ
saz ye kina-saz kya jaanen
naz wale niyaz kya jaanen
shama-ru aap go hue lekin
lutf-e-soz-o-gudaz kya jaanen
kab kisi dar ki jabha-sai ki
shaiKH sahab namaz kya jaanen
jo rah-e-ishq mein qadam rakkhen
wo nasheb-o-faraaz kya jaanen
puchhiye mai-kashon se lutf-e-sharab
ye maza pak-baz kya jaanen
bale chitwan teri ghazab ri nigah
kya karenge ye naz kya jaanen
jin ko apni KHabar nahin ab tak
wo mere dil ka raaz kya jaanen
hazrat-e-KHizr jab shahid na hon
lutf-e-umr-e-daraaz kya jaanen
jo guzarte hain 'dagh' par sadme
aap banda-nawaz kya jaanen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.