qaid mein guzregi jo umr baDe kaam ki thi
qaid meñ guzregī jo umr baḌe kaam kī thī
par maiñ kyā kartī ki zanjīr tire naam kī thī
jis ke māthe pe mire baḳht kā taara chamkā
chāñd ke Dūbne kī baat usī shaam kī thī
maiñ ne hāthoñ ko hī patvār banāyā varna
ek TuuTī huī kashtī mire kis kaam kī thī
vo kahānī ki abhī sūiyāñ niklīñ bhī na thiiñ
fikr har shaḳhs ko shahzādī ke anjām kī thī
ye havā kaise uḌā le ga.ī āñchal merā
yuuñ satāne kī to aadat mire ghanshyām kī thī
bojh uThāte hue phirtī hai hamārā ab tak
ai zamīñ-māñ tirī ye umr to ārām kī thī
qaid mein guzregi jo umr baDe kaam ki thi
par main kya karti ki zanjir tere nam ki thi
jis ke mathe pe mere baKHt ka tara chamka
chand ke Dubne ki baat usi sham ki thi
main ne hathon ko hi patwar banaya warna
ek TuTi hui kashti mere kis kaam ki thi
wo kahani ki abhi suiyan niklin bhi na thin
fikr har shaKHs ko shahzadi ke anjam ki thi
ye hawa kaise uDa le gai aanchal mera
yun satane ki to aadat mere ghanshyam ki thi
bojh uThate hue phirti hai hamara ab tak
ai zamin-man teri ye umr to aaram ki thi
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 220)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.