Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

arz jo kuchh meri zabani hai

Jalal Kakvi

arz jo kuchh meri zabani hai

Jalal Kakvi

MORE BYJalal Kakvi

    'arz jo kuchh merī zabānī hai

    āp-bītī nahīñ kahānī hai

    jis ne muñh madrase dekh liyā

    zindagī meñ vo āñ-jahānī hai

    raah maktab bhūlne ke liye

    ḳhaak ik ik galī chhānī hai

    paḌhne likhne meñ nahīñ lagtā

    maar khāne ye nishānī hai

    ḳhaak paḌhiye jo ho ġhizā aisī

    bhaat kankar hai daal paanī hai

    jaur-e-ustād hai na mahr-e-pidar

    kis qayāmat ye girānī hai

    har juma gōd-friday hai mirā

    raat bhī us kyā suhānī hai

    paar huuñ imtihāñ ke dariyā se

    naav kāġhaz yuuñ chalānī hai

    phir bhalā ham kahāñ kahāñ masjid

    ye namāz apnī imtihānī hai

    ye ġhazal ḳhuub hai 'jalāl' miyāñ

    kyā salāsat hai kyā ravānī hai

    lakhnavī ye jalāl garche nahīñ

    kākvī ye jalāl-e-sānī hai

    'arz jo kuchh meri zabani hai

    aap-biti nahin kahani hai

    jis ne munh madrase ka dekh liya

    zindagi mein wo aan-jahani hai

    rah maktab ki bhulne ke liye

    KHak ek ek gali ki chhani hai

    paDhne likhne mein ji nahin lagta

    mar khane ki ye nishani hai

    KHak paDhiye jo ho ghiza aisi

    bhat kankar hai dal pani hai

    jaur-e-ustad hai na mahr-e-pidar

    kis qayamat ki ye girani hai

    har juma good-friday hai mera

    raat bhi us ki kya suhani hai

    par hun imtihan ke dariya se

    naw kaghaz ki yun chalani hai

    phir bhala hum kahan kahan masjid

    ye namaz apni imtihani hai

    ye ghazal KHub hai 'jalal' miyan

    kya salasat hai kya rawani hai

    lakhnawi ye jalal garche nahin

    kakwi ye jalal-e-sani hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now