ja rahi hai bahaar phulon ki
jā rahī hai bahār phūloñ kī
hai qabā taar taar phūloñ kī
sīñchiye pahle ḳhūn-e-dil se chaman
dekhiye phir bahār phūloñ kī
un ke hoñToñ pe muskurātī hai
muskurāhaT hazār phūloñ kī
kis qadar talḳh ye haqīqat hai
ham-nashīnī-e-ḳhār phūloñ kī
jis ko kahte haiñ ham bahār-o-ḳhizāñ
vo to hai jiit haar phūloñ kī
sach batā kyoñ ḳhamosh hai bulbul
ai sabā rāz-dār phūloñ kī
hai ḳhizāñ meñ bhī jaise āvāra
nik.hat-e-be-qarār phūlūñ kī
kyā qafas meñ bhī gul khilā.egī
yaad yuuñ baar baar phūloñ kī
'tāhira' aaj tere sheroñ meñ
hai mahak be-shumār phūloñ kī
ja rahi hai bahaar phulon ki
hai qaba tar tar phulon ki
sinchiye pahle KHun-e-dil se chaman
dekhiye phir bahaar phulon ki
un ke honTon pe muskuraati hai
muskurahaT hazar phulon ki
kis qadar talKH ye haqiqat hai
ham-nashini-e-KHar phulon ki
jis ko kahte hain hum bahaar-o-KHizan
wo to hai jit haar phulon ki
sach bata kyon KHamosh hai bulbul
ai saba raaz-dar phulon ki
hai KHizan mein bhi jaise aawara
nikhat-e-be-qarar phulun ki
kya qafas mein bhi gul khilaegi
yaad yun bar bar phulon ki
'tahira' aaj tere sheron mein
hai mahak be-shumar phulon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.