phir koi shakl nazar aane lagi pani par
phir koī shakl nazar aane lagī paanī par
saḳht mushkil meñ huuñ is tarha kī āsānī par
us ko parvā hī nahīñ hai ki vo kis haal meñ hai
maiñ hī mahjūb huā ḳhvāb kī uryānī par
kartā rahtā huuñ maiñ us but kī parastish hamā-vaqt
phir bhī shak hai use is jazba-e-īmānī par
ik sadā hai kahīñ rātoñ meñ safar kartī huī
ik havā hai kahīñ aa.ī huī jaulānī par
koī ruktā huā dariyā mire qadmoñ meñ kahīñ
koī jhuktā huā sūraj mirī peshānī par
vahī mānūs thapeḌe the mire chāroñ taraf
mujhe hairat na huī dhuup kī tābānī par
vāpsī par jo lage haiñ mujhe apne jaise
ḳhush huā huuñ dar-o-dīvār kī vīrānī par
ek din sub.h jo uTTheñ to ye duniyā hī na ho
hai madār ab kisī aisī hī ḳhush-imkānī par
sher hote haiñ 'zafar' lutf-e-suḳhan se ḳhālī
daad miltī hai mujhe ab to ḳhush-alhānī par
phir koi shakl nazar aane lagi pani par
saKHt mushkil mein hun is tarha ki aasani par
us ko parwa hi nahin hai ki wo kis haal mein hai
main hi mahjub hua KHwab ki uryani par
karta rahta hun main us but ki parastish hama-waqt
phir bhi shak hai use is jazba-e-imani par
ek sada hai kahin raaton mein safar karti hui
ek hawa hai kahin aai hui jaulani par
koi rukta hua dariya mere qadmon mein kahin
koi jhukta hua suraj meri peshani par
wahi manus thapeDe the mere chaaron taraf
mujhe hairat na hui dhup ki tabani par
wapsi par jo lage hain mujhe apne jaise
KHush hua hun dar-o-diwar ki virani par
ek din subh jo uTThen to ye duniya hi na ho
hai madar ab kisi aisi hi KHush-imkani par
sher hote hain 'zafar' lutf-e-suKHan se KHali
dad milti hai mujhe ab to KHush-alhani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.