ne shikwa-mand dil se na az-dast-dida hun
ne shikwa-mand dil se na az-dast-dida hun
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
ne shikva-mand dil se na az-dast-dīda huuñ
is baḳht-e-nā-rasā se aziyyat-kashīda huuñ
kū ḳhanda kū tabassum o kū fursat-e-suḳhan
is anjuman meñ haiñ lab-e-hasrat-gazīda huuñ
ne kaam kā kisī ke na mujh ko kisī se kaam
hairāñ huuñ kis liye maiñ yahāñ āfrīda huuñ
hastī ko ne sabāt na jiine kā e'timād
kis kī umiid par koī dam ārmīda huuñ
merā to kaam ek palak meñ tamām hai
mānind-e-ashk bar-sar-e-mizhgāñ rasīda huuñ
gulchīñ 'abas nigāh rakhe hai mirī taraf
maiñ is chaman meñ juuñ gul-e-rañg-e-parīda huuñ
sauñpūñ maiñ kyuuñ na apnā garebāñ ajal ke haat
ai 'umr zindagī se maiñ dāman-kashīda huuñ
is vāste tū qadr mirī jāntā nahīñ
haañ in tire ġhulāmoñ meñ be-zar ḳharīda huuñ
merā bhī dil shagufta kabhū ho nasīm-e-vasl
bahutoñ kā is chaman meñ maiñ ab ḳhārvīda huuñ
pās-e-adab se us ke qadam tak nahīñ majāl
varna na pā-shikasta na dast-e-burīda huuñ
dushman se bhī tavāzo' meñ rakhtā nahīñ dareġh
tā'zīm ko 'adū kī maiñ teġh-e-ḳhamīda huuñ
rone talak to kis ko hai fursat yahāñ sahāb
tūfāñ huā bhī jo Tuk ik āb-dīda huuñ
yārāñ dimāġh ko jo karūñ tum se iḳhtilāt
is dasht meñ maiñ vahshī-e-az-ḳhud-ramīda huuñ
kyā pūchhte ho dard ko 'hātim' ke dostāñ
jo kuchh ki huuñ so huuñ ġharaz āfat-rasīda huuñ
ne shikwa-mand dil se na az-dast-dida hun
is baKHt-e-na-rasa se aziyyat-kashida hun
ku KHanda ku tabassum o ku fursat-e-suKHan
is anjuman mein hain lab-e-hasrat-gazida hun
ne kaam ka kisi ke na mujh ko kisi se kaam
hairan hun kis liye main yahan aafrida hun
hasti ko ne sabaat na jine ka e'timad
kis ki umid par koi dam aarmida hun
mera to kaam ek palak mein tamam hai
manind-e-ashk bar-sar-e-mizhgan rasida hun
gulchin 'abas nigah rakhe hai meri taraf
main is chaman mein jun gul-e-rang-e-parida hun
saunpun main kyun na apna gareban ajal ke hat
ai 'umr zindagi se main daman-kashida hun
is waste tu qadr meri jaanta nahin
han in tere ghulamon mein be-zar KHarida hun
mera bhi dil shagufta kabhu ho nasim-e-wasl
bahuton ka is chaman mein main ab KHarwida hun
pas-e-adab se us ke qadam tak nahin majal
warna na pa-shikasta na dast-e-burida hun
dushman se bhi tawazo' mein rakhta nahin daregh
ta'zim ko 'adu ki main tegh-e-KHamida hun
rone talak to kis ko hai fursat yahan sahab
tufan hua bhi jo Tuk ek aab-dida hun
yaran dimagh ko jo karun tum se iKHtilat
is dasht mein main wahshi-e-az-KHud-ramida hun
kya puchhte ho dard ko 'hatim' ke dostan
jo kuchh ki hun so hun gharaz aafat-rasida hun
- Book : Diwan Zadah (Pg. 240)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.