mil kar sanam se apne hangam-e-dil-kushai
mil kar sanam se apne hañgām-e-dil-kushā.ī
hañs kar kahā ye ham ne ai jaañ basant aa.ī
sunte hī us parī ne gul gul shagufta ho kar
poshāk-e-zar-fishānī apnī vahīñ rañgā.ī
jab rang ke aa.ī us ke poshāk-e-pur-nazākat
sarsoñ kī shāḳh par kal phir jald ik mañgā.ī
ik pankhuḌī uThā kar nāzuk se uñgliyoñ meñ
rangat ko us kī apnī poshāk se milā.ī
jis dam kyā muqābil kisvat se apnī us ko
dekhā to is kī rangat us par huī sivā.ī
phir to ba-sad-masarrat aur sau nazākatoñ se
nāzuk badan pe apne poshāk vo khapā.ī
mil kar sanam se apne hangam-e-dil-kushai
hans kar kaha ye hum ne ai jaan basant aai
sunte hi us pari ne gul gul shagufta ho kar
poshak-e-zar-fishani apni wahin rangai
jab rang ke aai us ke poshak-e-pur-nazakat
sarson ki shaKH par kal phir jald ek mangai
ek pankhuDi uTha kar nazuk se ungliyon mein
rangat ko us ki apni poshak se milai
jis dam kya muqabil kiswat se apni us ko
dekha to is ki rangat us par hui siwai
phir to ba-sad-masarrat aur sau nazakaton se
nazuk badan pe apne poshak wo khapai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.