na ruh se dhuan uTha na aankh hi lahu hui
na ruuh se dhuāñ uThā na aañkh hī lahū huī
ye kis talab kī chāñdnī meñ raat surḳh-rū huī
hameñ to apnī justujū bhī ḳhud se duur le ga.ī
tumhārī justujū to phir tumhārī justujū huī
maiñ apnī zaat kā safar tamām karke ruk gayā
phir is ke baad rāstoñ se merī guftugū huī
zamīñ Thahar Thahar ga.ī falak simaT simaT gayā
koī sadā-e-nīm-jān aise kū-bakū huī
har ek aañkh ret thī har ek dil sarāb thā
magar vo ek tishnagī jo mujh meñ aabjū huī
na ruh se dhuan uTha na aankh hi lahu hui
ye kis talab ki chandni mein raat surKH-ru hui
hamein to apni justuju bhi KHud se dur le gai
tumhaari justuju to phir tumhaari justuju hui
main apni zat ka safar tamam karke ruk gaya
phir is ke baad raston se meri guftugu hui
zamin Thahar Thahar gai falak simaT simaT gaya
koi sada-e-nim-jaan aise ku-baku hui
har ek aankh ret thi har ek dil sarab tha
magar wo ek tishnagi jo mujh mein aabju hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.