mohabbat se banda bana lijiyega
mohabbat se banda banā lījiyegā
batā dījiye kyā ḳhudā lījiyegā
kahāñ tak ye chhalla-chhupavval rahegī
batā dījiye ham se kyā lījiyegā
agar khoTī ulfat se hai tum ko dhoka
kasauTī par us ko chaḌhā lījiyegā
gilaurī raqīboñ ne bhejī hai sāhab
kisī aur ko bhī khilā lījiyegā
muchalke kā kyuuñ naam aayā zabāñ par
mohabbat kā ham se likhā lījiyegā
kisī aur se phir na kījegā ulfat
ye qīmat hai pahle chukā lījiyegā
ḳhafā kījiye ab na 'aḳhtar' ko sāhab
ye dil lījiye aur kyā lījiyegā
mohabbat se banda bana lijiyega
bata dijiye kya KHuda lijiyega
kahan tak ye chhalla-chhupawwal rahegi
bata dijiye hum se kya lijiyega
agar khoTi ulfat se hai tum ko dhoka
kasauTi par us ko chaDha lijiyega
gilauri raqibon ne bheji hai sahab
kisi aur ko bhi khila lijiyega
muchalke ka kyun nam aaya zaban par
mohabbat ka hum se likha lijiyega
kisi aur se phir na kijega ulfat
ye qimat hai pahle chuka lijiyega
KHafa kijiye ab na 'aKHtar' ko sahab
ye dil lijiye aur kya lijiyega
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 184)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.