mil hi aate hain use aisa bhi kya ho jaega
mil hī aate haiñ use aisā bhī kyā ho jā.egā
bas yahī nā dard kuchh dil kā sivā ho jā.egā
vo mire dil kī pareshānī se afsurda ho kyuuñ
dil kā kyā hai kal ko phir achchhā bhalā ho jā.egā
ghar se kuchh ḳhvāboñ se milne ke liye nikle the ham
kyā ḳhabar thī zindagī se sāmnā ho jā.egā
rone lagtā huuñ mohabbat meñ to kahtā hai koī
kyā tire ashkoñ se ye jañgal harā ho jā.egā
kaise aa saktī hai aisī dil-nashīñ duniyā ko maut
kaun kahtā hai ki ye sab kuchh fanā ho jā.egā
mil hi aate hain use aisa bhi kya ho jaega
bas yahi na dard kuchh dil ka siwa ho jaega
wo mere dil ki pareshani se afsurda ho kyun
dil ka kya hai kal ko phir achchha bhala ho jaega
ghar se kuchh KHwabon se milne ke liye nikle the hum
kya KHabar thi zindagi se samna ho jaega
rone lagta hun mohabbat mein to kahta hai koi
kya tere ashkon se ye jangal hara ho jaega
kaise aa sakti hai aisi dil-nashin duniya ko maut
kaun kahta hai ki ye sab kuchh fana ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.