marun to main kisi chehre mein rang bhar jaun
marūñ to maiñ kisī chehre meñ rang bhar jā.ūñ
'nadīm' kaash yahī ek kaam kar jā.ūñ
ye dasht-e-tark-e-mohabbat ye tere qurb kī pyaas
jo izn ho to tirī yaad se guzar jā.ūñ
mirā vajūd mirī ruuh ko pukārtā hai
tirī taraf bhī chalūñ to Thahar Thahar jā.ūñ
tire jamāl kā partav hai sab hasīnoñ par
kahāñ kahāñ tujhe DhūñDūñ kidhar kidhar jā.ūñ
maiñ zinda thā ki tirā intizār ḳhatm na ho
jo tū milā hai to ab sochtā huuñ mar jā.ūñ
tire sivā koī shā.ista-e-vafā bhī to ho
maiñ tere dar se jo uTThūñ to kis ke ghar jā.ūñ
ye sochtā huuñ ki maiñ but-parast kyuuñ na huā
tujhe qarīb jo pā.ūñ to ḳhud se Dar jā.ūñ
kisī chaman meñ bas is ḳhauf se guzar na huā
kisī kalī pe na bhūle se paañv dhar jā.ūñ
ye jī meñ aatī hai taḳhlīq-e-fan ke lamhoñ meñ
ki ḳhuun ban ke rag-e-sañg meñ utar jā.ūñ
marun to main kisi chehre mein rang bhar jaun
'nadim' kash yahi ek kaam kar jaun
ye dasht-e-tark-e-mohabbat ye tere qurb ki pyas
jo izn ho to teri yaad se guzar jaun
mera wajud meri ruh ko pukarta hai
teri taraf bhi chalun to Thahar Thahar jaun
tere jamal ka partaw hai sab hasinon par
kahan kahan tujhe DhunDun kidhar kidhar jaun
main zinda tha ki tera intizar KHatm na ho
jo tu mila hai to ab sochta hun mar jaun
tere siwa koi shaista-e-wafa bhi to ho
main tere dar se jo uTThun to kis ke ghar jaun
ye sochta hun ki main but-parast kyun na hua
tujhe qarib jo paun to KHud se Dar jaun
kisi chaman mein bas is KHauf se guzar na hua
kisi kali pe na bhule se panw dhar jaun
ye ji mein aati hai taKHliq-e-fan ke lamhon mein
ki KHun ban ke rag-e-sang mein utar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.