makan se dur kahin la-makan se hota hai
makāñ se duur kahīñ lā-makāñ se hotā hai
safar shurū yaqīñ kā gumāñ se hotā hai
vahīñ kahīñ nazar aatā hai aap kā chehra
tulū chāñd falak par jahāñ se hotā hai
ham apne baaġh ke phūloñ ko noch Dālte haiñ
jab iḳhtilāf koī bāġhbāñ se hotā hai
mujhe ḳhabar hī nahīñ thī ki ishq kā āġhāz
ab ibtidā se nahīñ darmiyāñ se hotā hai
uruuj par hai chaman meñ bahār kā mausam
safar shurū ḳhizāñ kā yahāñ se hotā hai
zavāl-e-mausam-e-ḳhush-rañg kā gila 'āsim'
zamīn se to nahīñ āsmāñ se hotā hai
makan se dur kahin la-makan se hota hai
safar shuru yaqin ka guman se hota hai
wahin kahin nazar aata hai aap ka chehra
tulu chand falak par jahan se hota hai
hum apne bagh ke phulon ko noch Dalte hain
jab iKHtilaf koi baghban se hota hai
mujhe KHabar hi nahin thi ki ishq ka aaghaz
ab ibtida se nahin darmiyan se hota hai
uruj par hai chaman mein bahaar ka mausam
safar shuru KHizan ka yahan se hota hai
zawal-e-mausam-e-KHush-rang ka gila 'asim'
zamin se to nahin aasman se hota hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 31)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.