main wo hun jis pe abr ka saya paDa nahin
maiñ vo huuñ jis pe abr kā saaya paḌā nahīñ
banjar paḌā huā huuñ koī dekhtā nahīñ
maiñ to ḳhudā ke saath vafādār bhī rahā
ye zaat kā tilism magar TūTtā nahīñ
yuuñ TūTtā zarūr bikhartā zarūr huuñ
maiñ chāk-e-pairahan nahīñ ḳhūnīñ qabā nahīñ
maiñ ne ulajh ke dekh liyā apnī guuñj se
ab kyā sadā lagā.ūñ koī jāgtā nahīñ
had-bandī-e-ḳhizāñ se hisār-e-bahār tak
jaañ raqs kar sake to koī fāsla nahīñ
main wo hun jis pe abr ka saya paDa nahin
banjar paDa hua hun koi dekhta nahin
main to KHuda ke sath wafadar bhi raha
ye zat ka tilism magar TuTta nahin
yun TuTta zarur bikharta zarur hun
main chaak-e-pairahan nahin KHunin qaba nahin
main ne ulajh ke dekh liya apni gunj se
ab kya sada lagaun koi jagta nahin
had-bandi-e-KHizan se hisar-e-bahaar tak
jaan raqs kar sake to koi fasla nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.