main rona chahta hun KHub rona chahta hun main
maiñ ronā chāhtā huuñ ḳhuub ronā chāhtā huuñ maiñ
aur is ke ba.ad gahrī niiñd sonā chāhtā huuñ maiñ
tire hoñToñ ke sahrā meñ tirī āñkhoñ ke jañgal meñ
jo ab tak pā chukā huuñ us ko khonā chāhtā huuñ maiñ
ye kachchī miTTiyoñ kā Dher apne chaak par rakh le
tirī raftār kā ham-raqs honā chāhtā huuñ maiñ
tirā sāhil nazar aane se pahle is samundar meñ
havas ke sab safīnoñ ko Dubonā chāhtā huuñ maiñ
kabhī to fasl aa.egī jahāñ meñ mere hone kī
tirī ḳhāk-e-badan meñ ḳhud ko bonā chāhtā huuñ maiñ
mire saare badan par dūriyoñ kī ḳhaak bikhrī hai
tumhāre saath mil kar ḳhud ko dhonā chāhtā huuñ maiñ
main rona chahta hun KHub rona chahta hun main
aur is ke baad gahri nind sona chahta hun main
tere honTon ke sahra mein teri aankhon ke jangal mein
jo ab tak pa chuka hun us ko khona chahta hun main
ye kachchi miTTiyon ka Dher apne chaak par rakh le
teri raftar ka ham-raqs hona chahta hun main
tera sahil nazar aane se pahle is samundar mein
hawas ke sab safinon ko Dubona chahta hun main
kabhi to fasl aaegi jahan mein mere hone ki
teri KHak-e-badan mein KHud ko bona chahta hun main
mere sare badan par duriyon ki KHak bikhri hai
tumhaare sath mil kar KHud ko dhona chahta hun main
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 99)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.