Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main bhi sharik-e-marg hun mar mere samne

Zafar Iqbal

main bhi sharik-e-marg hun mar mere samne

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    maiñ bhī sharīk-e-marg huuñ mar mere sāmne

    merī sadā ke phuul bikhar mere sāmne

    āḳhir vo aarzū mere sar par savār thī

    laa.e the jis ko ḳhāk-ba-sar mere sāmne

    kahte nahīñ haiñ us suḳhan mere aas paas

    dete nahīñ haiñ us ḳhabar mere sāmne

    aage baḌhūñ to zard ghaTā mere rū-ba-rū

    pīchhe muḌūñ to gard-e-safar mere sāmne

    maiñ ḳhud kisī ke ḳhuun āñdhī huuñ in dinoñ

    uḌtī huī havā se na Dar mere sāmne

    āñkhoñ meñ raakh Daal ke niklā huuñ sair ko

    shāḳhoñ pe nāchte haiñ sharar mere sāmne

    taarī hai ik sukūt 'zafar' ḳhāk-o-ḳhisht par

    jaarī hai bādaloñ safar mere sāmne

    main bhi sharik-e-marg hun mar mere samne

    meri sada ke phul bikhar mere samne

    aaKHir wo aarzu mere sar par sawar thi

    lae the jis ko KHak-ba-sar mere samne

    kahte nahin hain us ka suKHan mere aas pas

    dete nahin hain us ki KHabar mere samne

    aage baDhun to zard ghaTa mere ru-ba-ru

    pichhe muDun to gard-e-safar mere samne

    main KHud kisi ke KHun ki aandhi hun in dinon

    uDti hui hawa se na Dar mere samne

    aankhon mein rakh Dal ke nikla hun sair ko

    shaKHon pe nachte hain sharar mere samne

    tari hai ek sukut 'zafar' KHak-o-KHisht par

    jari hai baadalon ka safar mere samne

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    main bhi sharik-e-marg hun mar mere samne Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now