main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-arzu!
maiñ ārzū-e-jāñ likhūñ yā jān-e-ārzū!
tū hī batā de naaz se īmān-e-ārzū!
aañsū nikal rahe haiñ tasavvur meñ ban ke phuul
shādāb ho rahā hai gulistān-e-ārzū!
īmān o jaañ nisār tirī ik nigāh par
tū jān-e-ārzū hai tū īmān-e-ārzū!
hone ko hai tulū sabāh-e-shab-e-visāl
bujhne ko hai charāġh-e-shabistān-e-ārzū!
ik vo ki ārzuoñ pe jiite haiñ umr bhar
ik ham ki haiñ abhī se pashīmān-e-ārzū!
āñkhoñ se jū-e-ḳhūñ hai ravāñ dil hai daaġh daaġh
dekhe koī bahār-e-gulistān-e-ārzū!
dil meñ nashāt-e-rafta kī dhundlī sī yaad hai
yā sham-e-vasl hai tah-e-dāmān-e-ārzū!
'aḳhtar' ko zindagī kā bharosa nahīñ rahā
jab se luTā chuke sar-o-sāmān-e-ārzū!
main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-arzu!
tu hi bata de naz se iman-e-arzu!
aansu nikal rahe hain tasawwur mein ban ke phul
shadab ho raha hai gulistan-e-arzu!
iman o jaan nisar teri ek nigah par
tu jaan-e-arzu hai tu iman-e-arzu!
hone ko hai tulu sabah-e-shab-e-visal
bujhne ko hai charagh-e-shabistan-e-arzu!
ek wo ki aarzuon pe jite hain umr bhar
ek hum ki hain abhi se pashiman-e-arzu!
aankhon se ju-e-KHun hai rawan dil hai dagh dagh
dekhe koi bahaar-e-gulistan-e-arzu!
dil mein nashat-e-rafta ki dhundli si yaad hai
ya sham-e-wasl hai tah-e-daman-e-arzu!
'aKHtar' ko zindagi ka bharosa nahin raha
jab se luTa chuke sar-o-saman-e-arzu!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.