lahu hi kitna hai jo chashm-e-tar se niklega
lahū hī kitnā hai jo chashm-e-tar se niklegā
yahāñ bhī kaam na 'arz-e-hunar se niklegā
har ek shaḳhs hai be-samtiyoñ kī dhund meñ gum
batā.e kaun ki sūraj kidhar se niklegā
karo jo kar sako bikhre hue vujūd ko jam'
ki kuchh na kuchh to ġhubār-e-safar se niklegā
maiñ apne aap se mil kar huā bahut māyūs
ḳhabar thī garm ki vo aaj ghar se niklegā
haiñ barf barf abhī mere 'ahd kī rāteñ
ufuq jaleñge to sho'la sahar se niklegā
ye kyā ḳhabar thī ki ai ranj-e-rā.egāñ-nafsī
dhuāñ bhī sīna-e-ahl-e-nazar se niklegā
mirī zamīñ ne ḳhalā meñ bhī khīñch dī dīvār
tū āsmāñ sahī kis rahguzar se niklegā
tamām log isī hasrat meñ dhuup dhuup jale
kabhī to saaya ghanere shajar se niklegā
samo na tāroñ meñ mujh ko ki huuñ vo sail-e-navā
jo zindagī ke lab-e-mo'tabar se niklegā
phirā huuñ kaasa liye lafz lafz ke pīchhe
tamām 'umr ye saudā na sar se niklegā
'fazā' matā-e-qalam ko sañbhāl kar rakkho
ki āftāb isī durj-e-guhar se niklegā
lahu hi kitna hai jo chashm-e-tar se niklega
yahan bhi kaam na 'arz-e-hunar se niklega
har ek shaKHs hai be-samtiyon ki dhund mein gum
batae kaun ki suraj kidhar se niklega
karo jo kar sako bikhre hue wujud ko jam'
ki kuchh na kuchh to ghubar-e-safar se niklega
main apne aap se mil kar hua bahut mayus
KHabar thi garm ki wo aaj ghar se niklega
hain barf barf abhi mere 'ahd ki raaten
ufuq jalenge to sho'la sahar se niklega
ye kya KHabar thi ki ai ranj-e-raegan-nafsi
dhuan bhi sina-e-ahl-e-nazar se niklega
meri zamin ne KHala mein bhi khinch di diwar
tu aasman sahi kis rahguzar se niklega
tamam log isi hasrat mein dhup dhup jale
kabhi to saya ghanere shajar se niklega
samo na taron mein mujh ko ki hun wo sail-e-nawa
jo zindagi ke lab-e-mo'tabar se niklega
phira hun kasa liye lafz lafz ke pichhe
tamam 'umr ye sauda na sar se niklega
'faza' mata-e-qalam ko sanbhaal kar rakkho
ki aaftab isi durj-e-guhar se niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.