labon par yunhi si hansi bhej de
laboñ par yūñhī sī hañsī bhej de
mujhe merī pahlī ḳhushī bhej de
añdherā hai kaise tirā ḳhat paḌhūñ
lifāfe meñ kuchh raushnī bhej de
maiñ pyāsā huuñ ḳhālī kuaañ hai to kyā
surāhī liye ik parī bhej de
bahut nek bande haiñ ab bhī tire
kisī par to yā-rab vahī bhej de
kahīñ kho na jaa.e qayāmat kā din
ye achchhā samay hai abhī bhej de
labon par yunhi si hansi bhej de
mujhe meri pahli KHushi bhej de
andhera hai kaise tera KHat paDhun
lifafe mein kuchh raushni bhej de
main pyasa hun KHali kuan hai to kya
surahi liye ek pari bhej de
bahut nek bande hain ab bhi tere
kisi par to ya-rab wahi bhej de
kahin kho na jae qayamat ka din
ye achchha samay hai abhi bhej de
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 98)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.