kaun se shauq kis hawas ka nahin
kaun se shauq kis havas kā nahīñ
dil mirī jaan tere bas kā nahīñ
raah tum kārvāñ kī lo ki mujhe
shauq kuchh naġhma-e-jaras kā nahīñ
haañ mirā vo mo.āmla hai ki ab
kaam yārān-e-nukta-ras kā nahīñ
ham kahāñ se chale haiñ aur kahāñ
koī andāza pesh-o-pas kā nahīñ
ho ga.ī us gale meñ umr tamām
paas sho.ale ko ḳhār-o-ḳhas kā nahīñ
mujh ko ḳhud se judā na hone do
baat ye hai maiñ apne bas kā nahīñ
kyā laḌā.ī bhalā ki ham meñ se
koī bhī saiñkaḌoñ baras kā nahīñ
kaun se shauq kis hawas ka nahin
dil meri jaan tere bas ka nahin
rah tum karwan ki lo ki mujhe
shauq kuchh naghma-e-jaras ka nahin
han mera wo moamla hai ki ab
kaam yaran-e-nukta-ras ka nahin
hum kahan se chale hain aur kahan
koi andaza pesh-o-pas ka nahin
ho gai us gale mein umr tamam
pas shoale ko KHar-o-KHas ka nahin
mujh ko KHud se juda na hone do
baat ye hai main apne bas ka nahin
kya laDai bhala ki hum mein se
koi bhi sainkaDon baras ka nahin
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 111)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.