kamal-e-ishq hai diwana ho gaya hun main
kamāl-e-ishq hai dīvāna ho gayā huuñ maiñ
ye kis ke haath se dāman chhuḌā rahā huuñ maiñ
tumhīñ to ho jise kahtī hai nāḳhudā duniyā
bachā sako to bachā lo ki Dūbtā huuñ maiñ
ye mere ishq kī majbūriyāñ ma.āz-allāh
tumhārā raaz tumhīñ se chhupā rahā huuñ maiñ
is ik hijāb pe sau be-hijābiyāñ sadqe
jahāñ se chāhtā huuñ tum ko dekhtā huuñ maiñ
batāne vaale vahīñ par batāte haiñ manzil
hazār baar jahāñ se guzar chukā huuñ maiñ
kabhī ye zom ki tū mujh se chhup nahīñ saktā
kabhī ye vahm ki ḳhud bhī chhupā huā huuñ maiñ
mujhe sune na koī mast-e-bāada-e-ishrat
'majāz' TuuTe hue dil kī ik sadā huuñ maiñ
kamal-e-ishq hai diwana ho gaya hun main
ye kis ke hath se daman chhuDa raha hun main
tumhin to ho jise kahti hai naKHuda duniya
bacha sako to bacha lo ki Dubta hun main
ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah
tumhaara raaz tumhin se chhupa raha hun main
is ek hijab pe sau be-hijabiyan sadqe
jahan se chahta hun tum ko dekhta hun main
batane wale wahin par batate hain manzil
hazar bar jahan se guzar chuka hun main
kabhi ye zom ki tu mujh se chhup nahin sakta
kabhi ye wahm ki KHud bhi chhupa hua hun main
mujhe sune na koi mast-e-baada-e-ishrat
'majaz' TuTe hue dil ki ek sada hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.