kahun kya iztirab-e-dil zaban se
kahūñ kyā iztirāb-e-dil zabāñ se
rahe jaate haiñ sab pahlū bayāñ se
unheñ chahkā rahā huuñ chāñd kah kar
evaz lenā hai mujh ko āsmāñ se
ham aise nā-tavāñ vo aise nāzuk
uThā.e kaun parda darmiyāñ se
shamīm-e-gul ne baḌh kar haal maarā
qadam bāhar jo rakkhā āshiyāñ se
taḌap merī taraqqī kar rahī hai
zamīñ Takrā na jaa.e āsmāñ se
ḳhudā rakkhe chaman kā phuul ho tum
hañso khelo nasīm-e-bostāñ se
nigāh-e-gul se bulbul yuuñ girī hai
gire jis tarah tinkā āshiyāñ se
zamīn-e-sher ham karte haiñ ābād
chale aate haiñ mazmūñ āsmāñ se
baḌā lañgar thā sher-o-shā.erī kā
uThā kyūñ-kar 'jalīl' nā-tavāñ se
kahun kya iztirab-e-dil zaban se
rahe jate hain sab pahlu bayan se
unhen chahka raha hun chand kah kar
ewaz lena hai mujh ko aasman se
hum aise na-tawan wo aise nazuk
uThae kaun parda darmiyan se
shamim-e-gul ne baDh kar haal mara
qadam bahar jo rakkha aashiyan se
taDap meri taraqqi kar rahi hai
zamin Takra na jae aasman se
KHuda rakkhe chaman ka phul ho tum
hanso khelo nasim-e-bostan se
nigah-e-gul se bulbul yun giri hai
gire jis tarah tinka aashiyan se
zamin-e-sher hum karte hain aabaad
chale aate hain mazmun aasman se
baDa langar tha sher-o-shaeri ka
uTha kyun-kar 'jalil' na-tawan se
- Book : Kainat-e-Jalil Manakpuri (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.