kabhi to sham Dhale apne ghar gae hote
kabhī to shaam Dhale apne ghar ga.e hote
kisī kī aañkh meñ rah kar sañvar ga.e hote
siñgār-dān meñ rahte ho aa.ine kī tarah
kisī ke haath se gir kar bikhar ga.e hote
ġhazal ne bahte hue phuul chun liye varna
ġhamoñ meñ Duub ke ham log mar ga.e hote
ajiib raat thī kal tum bhī aa ke lauT ga.e
jab aa ga.e the to pal bhar Thahar ga.e hote
bahut dinoñ se hai dil apnā ḳhālī ḳhālī sā
ḳhushī nahīñ to udāsī se bhar ga.e hote
kabhi to sham Dhale apne ghar gae hote
kisi ki aankh mein rah kar sanwar gae hote
singar-dan mein rahte ho aaine ki tarah
kisi ke hath se gir kar bikhar gae hote
ghazal ne bahte hue phul chun liye warna
ghamon mein Dub ke hum log mar gae hote
ajib raat thi kal tum bhi aa ke lauT gae
jab aa gae the to pal bhar Thahar gae hote
bahut dinon se hai dil apna KHali KHali sa
KHushi nahin to udasi se bhar gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.