jab ho chukī sharāb to maiñ mast mar gayā
shīshe ke ḳhālī hote hī paimāna bhar gayā
ne qāsid-e-ḳhayāl na paik-e-nazar gayā
un tak maiñ apnī aap hī le kar ḳhabar gayā
rūh-e-ruvān-o-jism kī sūrat maiñ kyā kahūñ
jhoñkā havā kā thā idhar aayā udhar gayā
tūfān-e-nūh is meñ ho yā shor-e-hashr ho
hotā jo kuchh hai hogā jo guzrā guzar gayā
samjhā hai haq ko apne hī jānib har ek shaḳhs
ye chāñd us ke saath chalā jo jidhar gayā
shorīdgī se merī yahāñ tak vo tañg the
rūThā jo maiñ to ḳhair manā.ī ki shar gayā
maiñ ne bhī āñkheñ dekhī haiñ pariyoñ kī jaao bhī
tum ne dikhā.ī aañkh mujhe aur maiñ Dar gayā
guzrā jahāñ se maiñ to kahā sun ke yaar ne
qissa gayā fasād gayā dard-e-sar gayā
kāġhaz siyāh karte ho kis ke liye 'nasīm'
aayā javāb-e-ḳhat tumheñ aur nāma-bar gayā
jab ho chuki sharab to main mast mar gaya
shishe ke KHali hote hi paimana bhar gaya
ne qasid-e-KHayal na paik-e-nazar gaya
un tak main apni aap hi le kar KHabar gaya
ruh-e-ruwan-o-jism ki surat main kya kahun
jhonka hawa ka tha idhar aaya udhar gaya
tufan-e-nuh is mein ho ya shor-e-hashr ho
hota jo kuchh hai hoga jo guzra guzar gaya
samjha hai haq ko apne hi jaanib har ek shaKHs
ye chand us ke sath chala jo jidhar gaya
shoridgi se meri yahan tak wo tang the
ruTha jo main to KHair manai ki shar gaya
main ne bhi aankhen dekhi hain pariyon ki jao bhi
tum ne dikhai aankh mujhe aur main Dar gaya
guzra jahan se main to kaha sun ke yar ne
qissa gaya fasad gaya dard-e-sar gaya
kaghaz siyah karte ho kis ke liye 'nasim'
aaya jawab-e-KHat tumhein aur nama-bar gaya
Source :
- Book : Intekhab-e-Zarrin Urdu Ghazal (Pg. 139)
- Author : Khvaja Mohammad Zakriya
-
Publication : Sangat Publishers
(2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.