taKHayyul ko bari karne laga hun
taḳhayyul ko barī karne lagā huuñ
maiñ zehnī ḳhud-kushī karne lagā huuñ
mujhe zinda jalāyā jā rahā hai
to kyā maiñ raushnī karne lagā huuñ
maiñ ā.īnoñ ko dekhe jā rahā thā
ab in se baat bhī karne lagā huuñ
tumhārī bas tumhārī dushmanī meñ
maiñ sab se dostī karne lagā huuñ
mujhe gumrāh karnā ġhair-mumkin
maiñ apnī pairvī karne lagā huuñ
taKHayyul ko bari karne laga hun
main zehni KHud-kushi karne laga hun
mujhe zinda jalaya ja raha hai
to kya main raushni karne laga hun
main aainon ko dekhe ja raha tha
ab in se baat bhi karne laga hun
tumhaari bas tumhaari dushmani mein
main sab se dosti karne laga hun
mujhe gumrah karna ghair-mumkin
main apni pairwi karne laga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.