is safar mein nind aisi kho gai
is safar meñ niiñd aisī kho ga.ī
ham na so.e raat thak kar so ga.ī
dāman-e-mauj-e-sabā ḳhālī huā
bū-e-gul dasht-e-vafā meñ kho ga.ī
haa.e is parchhā.iyoñ ke shahr meñ
dil sī ik zinda haqīqat kho ga.ī
ham ne jab hañs kar kahā mamnūn haiñ
zindagī jaise pashemāñ ho ga.ī
is safar mein nind aisi kho gai
hum na soe raat thak kar so gai
daman-e-mauj-e-saba KHali hua
bu-e-gul dasht-e-wafa mein kho gai
hae is parchhaiyon ke shahr mein
dil si ek zinda haqiqat kho gai
hum ne jab hans kar kaha mamnun hain
zindagi jaise pasheman ho gai
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 227)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.