Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is aankh mein KHwab-e-naz ho ja

Saleem Ahmed

is aankh mein KHwab-e-naz ho ja

Saleem Ahmed

MORE BYSaleem Ahmed

    is aañkh meñ ḳhvāb-e-nāz ho

    ai hijr shab darāz ho

    asrār tamām khul rahe haiñ

    apne liye bhī raaz ho

    ai naġhma-navāz āḳhir-e-shab

    āhañg-e-shikast-e-sāz ho

    dīvār tarah band kyuuñ hai

    dastak koī de to baaz ho

    ab din to ġhurūb ho rahā hai

    saa.e tarah darāz ho

    yaañ fat.h sabab hai sar-kashī

    haar ke sarfarāz ho

    shīsha bane ki sañg kuchh ban

    andar se magar gudāz ho

    us aañkh se siikh rāz-e-ismat

    khul khel ke pāk-bāz ho

    is aankh mein KHwab-e-naz ho ja

    ai hijr ki shab daraaz ho ja

    asrar tamam khul rahe hain

    tu apne liye bhi raaz ho ja

    ai naghma-nawaz aaKHir-e-shab

    aahang-e-shikast-e-saz ho ja

    diwar ki tarah band kyun hai

    dastak koi de to baz ho ja

    ab din to ghurub ho raha hai

    sae ki tarah daraaz ho ja

    yan fath sabab hai sar-kashi ka

    tu haar ke sarfaraaz ho ja

    tu shisha bane ki sang kuchh ban

    andar se magar gudaz ho ja

    us aankh se sikh raaz-e-ismat

    khul khel ke pak-baz ho ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now