Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu

Ahmad Faraz

hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    huī hai shaam to āñkhoñ meñ bas gayā phir

    kahāñ gayā hai mire shahr ke musāfir

    mirī misāl ki ik naḳhl-e-ḳhushk-e-sahrā huuñ

    tirā ḳhayāl ki shāḳh-e-chaman taa.ir

    maiñ jāntā huuñ ki duniyā tujhe badal degī

    maiñ māntā huuñ ki aisā nahīñ ba-zāhir

    hañsī-ḳhushī se bichhaḌ agar bichhaḌnā hai

    ye har maqām pe kyā sochtā hai āḳhir

    fazā udaas hai rut muzmahil hai maiñ chup huuñ

    jo ho sake to chalā aa kisī ḳhātir

    'farāz' ne use mushkiloñ meñ Daal diyā

    zamāna sāhab-e-zar aur sirf shā.er

    hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu

    kahan gaya hai mere shahr ke musafir tu

    meri misal ki ek naKHl-e-KHushk-e-sahra hun

    tera KHayal ki shaKH-e-chaman ka tair tu

    main jaanta hun ki duniya tujhe badal degi

    main manta hun ki aisa nahin ba-zahir tu

    hansi-KHushi se bichhaD ja agar bichhaDna hai

    ye har maqam pe kya sochta hai aaKHir tu

    faza udas hai rut muzmahil hai main chup hun

    jo ho sake to chala aa kisi ki KHatir tu

    'faraaz' tu ne use mushkilon mein Dal diya

    zamana sahab-e-zar aur sirf shaer tu

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Ali

    Ghulam Ali

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now