haal us ka tere chehre pe likha lagta hai
haal us kā tire chehre pe likhā lagtā hai
vo jo chup-chāp khaḌā hai tirā kyā lagtā hai
yuuñ tirī yaad meñ din raat magan rahtā huuñ
dil dhḌaknā tire qadmoñ kī sadā lagtā hai
yuuñ to har chiiz salāmat hai mirī duniyā meñ
ik ta.alluq hai ki jo TuuTā huā lagtā hai
ai mire jazb-e-darūñ mujh meñ kashish hai itnī
jo ḳhatā hotā hai vo tiir bhī aa lagtā hai
jaane maiñ kaun sī pastī meñ girā huuñ 'shahzād'
is qadar duur hai sūraj ki diyā lagtā hai
haal us ka tere chehre pe likha lagta hai
wo jo chup-chap khaDa hai tera kya lagta hai
yun teri yaad mein din raat magan rahta hun
dil dhDakna tere qadmon ki sada lagta hai
yun to har chiz salamat hai meri duniya mein
ek talluq hai ki jo TuTa hua lagta hai
ai mere jazb-e-darun mujh mein kashish hai itni
jo KHata hota hai wo tir bhi aa lagta hai
jaane main kaun si pasti mein gira hun 'shahzad'
is qadar dur hai suraj ki diya lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.