Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahil pe lai aur safine Dubo diye

Shamim Jaipuri

sahil pe lai aur safine Dubo diye

Shamim Jaipuri

MORE BYShamim Jaipuri

    sāhil pe laa.ī aur safīne Dubo diye

    yuuñ zindagī ne ham ko hañsāyā ki ro diye

    ahl-e-chaman ne jashn-e-bahārāñ ke naam se

    vo dāstāñ sunā.ī ki dāman bhigo diye

    zabt-e-ġham-e-firāq majbūriyāñ na pūchh

    dil meñ kisī naam liyā aur ro diye

    fariyād hai baat magar ab sunegā kaun

    ik nāḳhudā ne kitne safīne Dubo diye

    ai vā.e-sa.ī-e-zabt ki aksar tire huzūr

    hañsne ehtimām kiyā aur ro diye

    un āñsuoñ dekhne vaalā koī na thā

    jin āñsuoñ meñ ham ne tabassum samo diye

    rāh-e-junūñ meñ kaam ḳhirad se liyā thā

    zo.af-e-talab ne paañv meñ kāñTe chubho diye

    tajdīd-e-ahd-e-ishq huī aaj yuuñ 'shamīm'

    nazreñ milīñ salām kiyā aur ro diye

    sahil pe lai aur safine Dubo diye

    yun zindagi ne hum ko hansaya ki ro diye

    ahl-e-chaman ne jashn-e-bahaaran ke nam se

    wo dastan sunai ki daman bhigo diye

    zabt-e-gham-e-firaq ki majburiyan na puchh

    dil mein kisi ka nam liya aur ro diye

    fariyaad ki hai baat magar ab sunega kaun

    ek naKHuda ne kitne safine Dubo diye

    ai wae-sai-e-zabt ki aksar tere huzur

    hansne ka ehtimam kiya aur ro diye

    un aansuon ka dekhne wala koi na tha

    jin aansuon mein hum ne tabassum samo diye

    rah-e-junun mein kaam KHirad se liya hi tha

    zoaf-e-talab ne panw mein kanTe chubho diye

    tajdid-e-ahd-e-ishq hui aaj yun 'shamim'

    nazren milin salam kiya aur ro diye

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now