puchha kisi ne haal kisi ka to ro diye
pūchhā kisī ne haal kisī kā to ro diye
paanī meñ aks chāñd kā dekhā to ro diye
naġhma kisī ne saaz pe chheḌā to ro diye
ġhuncha kisī ne shāḳh se toḌā to ro diye
uḌtā huā ġhubār sar-e-rāh dekh kar
anjām ham ne ishq kā sochā to ro diye
bādal fazā meñ aap kī tasvīr ban ga.e
saaya koī ḳhayāl se guzrā to ro diye
rañg-e-shafaq se aag shagūfoñ meñ lag ga.ī
'sāġhar' hamāre haath se chhalkā to ro diye
puchha kisi ne haal kisi ka to ro diye
pani mein aks chand ka dekha to ro diye
naghma kisi ne saz pe chheDa to ro diye
ghuncha kisi ne shaKH se toDa to ro diye
uDta hua ghubar sar-e-rah dekh kar
anjam hum ne ishq ka socha to ro diye
baadal faza mein aap ki taswir ban gae
saya koi KHayal se guzra to ro diye
rang-e-shafaq se aag shagufon mein lag gai
'saghar' hamare hath se chhalka to ro diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.