haalat na badlen to isi baat pe rona
hālāt na badleñ to isī baat pe ronā
badleñ to badalte hue hālāt pe ronā
paḌ jā.egā tum ko bhī ġham-e-zāt pe ronā
jis baat pe hañste ho usī baat pe ronā
iz.hār meñ quvvat hai to mil jā.egā mauzūa
sūkhā nahīñ paḌtā hai to barsāt pe ronā
is shahr meñ sab Thiik hai kyā soch rahe ho
ronā hai to apne hī ḳhayālāt pe ronā
maiñ aap kī is sard-mizājī pe hañsūñgā
aur aap mirī shiddat-e-jazbāt pe ronā
haalat na badlen to isi baat pe rona
badlen to badalte hue haalat pe rona
paD jaega tum ko bhi gham-e-zat pe rona
jis baat pe hanste ho usi baat pe rona
izhaar mein quwwat hai to mil jaega mauzua
sukha nahin paDta hai to barsat pe rona
is shahr mein sab Thik hai kya soch rahe ho
rona hai to apne hi KHayalat pe rona
main aap ki is sard-mizaji pe hansunga
aur aap meri shiddat-e-jazbaat pe rona
- Book : lafz magazine (Pg. february-2013)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.