baiThe baiThe jo hum ai yar hanse aur roe
baiThe baiThe jo hum ai yar hanse aur roe
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
baiThe baiThe jo ham ai yaar hañse aur ro.e
aa gayā yaad to ik baar hañse aur ro.e
sher-e-tar paḌhne se yāroñ meñ hameñ kyā hāsil
magar itnā hai ki do-chār hañse aur ro.e
shādī o ġham kī jo uTh jaa.e jahāñ se rah-o-rasm
phir to koī bhī na zanhār hañse aur ro.e
nā-tavānī ne kiyā us ko to naqsh-e-qālīñ
kyā tirī chashm kā bīmār hañse aur ro.e
'mus.hafī' raat meñ afsāna-e-dil kahtā thā
sun ke ham-sā.e ka.ī baar hañse aur ro.e
baiThe baiThe jo hum ai yar hanse aur roe
aa gaya yaad to ek bar hanse aur roe
sher-e-tar paDhne se yaron mein hamein kya hasil
magar itna hai ki do-chaar hanse aur roe
shadi o gham ki jo uTh jae jahan se rah-o-rasm
phir to koi bhi na zanhaar hanse aur roe
na-tawani ne kiya us ko to naqsh-e-qalin
kya teri chashm ka bimar hanse aur roe
'mushafi' raat mein afsana-e-dil kahta tha
sun ke ham-sae kai bar hanse aur roe
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwal) (Pg. 421)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.