aaj ro kar to dikhae koi aisa rona
aaj ro kar to dikhā.e koī aisā ronā
yaad kar ai dil-e-ḳhāmosh vo apnā ronā
raqs karnā kabhī ḳhvāboñ ke shabistānoñ meñ
kabhī yādoñ ke sutūnoñ se lipaTnā ronā
tujh se sīkhe koī rone kā salīqa ai abr
kahīñ qatra na girānā kahīñ dariyā ronā
rasm-e-duniyā bhī vahī rāh-e-tamannā bhī vahī
vahī mil baiTh ke hañsnā vahī tanhā ronā
ye tirā taur samajh meñ nahīñ aayā 'mushtāq'
kabhī hañste chale jaanā kabhī itnā ronā
aaj ro kar to dikhae koi aisa rona
yaad kar ai dil-e-KHamosh wo apna rona
raqs karna kabhi KHwabon ke shabistanon mein
kabhi yaadon ke sutunon se lipaTna rona
tujh se sikhe koi rone ka saliqa ai abr
kahin qatra na girana kahin dariya rona
rasm-e-duniya bhi wahi rah-e-tamanna bhi wahi
wahi mil baiTh ke hansna wahi tanha rona
ye tera taur samajh mein nahin aaya 'mushtaq'
kabhi hanste chale jaana kabhi itna rona
- Book : Auraaq-e-Khezani (Pg. 51)
- Author : Ahmad Mushtaq
- Publication : Rekhta Foundation (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.