Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gae dinon ke daraKHshanda rabton se na ruTh

Irfan Siddiqi

gae dinon ke daraKHshanda rabton se na ruTh

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    ga.e dinoñ ke daraḳhshanda rābtoñ se na ruuTh

    mire ḳhulūs ke tābinda silsiloñ se na ruuTh

    mohabbatoñ vafā-kesh bārishoñ se na ruuTh

    kisī se ruuTh magar apne dostoñ se na ruuTh

    ḳhizāñ zard havā.eñ tirī talāsh meñ haiñ

    chaman se ruuTh daraḳhtoñ Tahniyoñ se na ruuTh

    palaT na jaa.eñ hamesha ko tere āñgan se

    gudāz lamhoñ be-ḳhvāb āhaToñ se na ruuTh

    aziiz jaan khulī khiḌkiyoñ ḳhushbū ko

    galī se tark-e-marāsim sahī gharoñ se na ruuTh

    gumān-o-vaham ke be-nām jhuTpuToñ se nikal

    zabāñ na khol magar dil dhaḌkanoñ se na ruuTh

    javāñ rutoñ ko gale se lagā ke 'irfān'

    dil-o-nazar ke ziyā-bār mausamoñ se na ruuTh

    gae dinon ke daraKHshanda rabton se na ruTh

    mere KHulus ke tabinda silsilon se na ruTh

    mohabbaton ki wafa-kesh barishon se na ruTh

    kisi se ruTh magar apne doston se na ruTh

    KHizan ki zard hawaen teri talash mein hain

    chaman se ruTh daraKHton ki Tahniyon se na ruTh

    palaT na jaen hamesha ko tere aangan se

    gudaz lamhon ki be-KHwab aahaTon se na ruTh

    aziz jaan khuli khiDkiyon ki KHushbu ko

    gali se tark-e-marasim sahi gharon se na ruTh

    guman-o-waham ke be-nam jhuTpuTon se nikal

    zaban na khol magar dil ki dhaDkanon se na ruTh

    jawan ruton ko gale se laga ke ji 'irfan'

    dil-o-nazar ke ziya-bar mausamon se na ruTh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now