ek suraj tha ki taron ke gharane se uTha
ek sūraj thā ki tāroñ ke gharāne se uThā
aañkh hairān hai kyā shaḳhs zamāne se uThā
kis se pūchhūñ tire aaqā kā pata ai rahvār
ye alam vo hai na ab tak kisī shāne se uThā
halqa-e-ḳhvāb ko hī gird-e-gulū kas Daalā
dast-e-qātil kā bhī ehsāñ na divāne se uThā
phir koī aks shuāoñ se na banñe paayā
kaisā mahtāb mire ā.ina-ḳhāne se uThā
kyā likhā thā sar-e-mahzar jise pahchānte hī
paas baiThā huā har dost bahāne se uThā
ek suraj tha ki taron ke gharane se uTha
aankh hairan hai kya shaKHs zamane se uTha
kis se puchhun tere aaqa ka pata ai rahwar
ye alam wo hai na ab tak kisi shane se uTha
halqa-e-KHwab ko hi gird-e-gulu kas Dala
dast-e-qatil ka bhi ehsan na diwane se uTha
phir koi aks shuaon se na banne paya
kaisa mahtab mere aaina-KHane se uTha
kya likha tha sar-e-mahzar jise pahchante hi
pas baiTha hua har dost bahane se uTha
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khud kalaamii) (Pg. 276)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.