dosti jab kisi se ki jae
dostī jab kisī se kī jaa.e
dushmanoñ kī bhī raa.e lī jaa.e
maut kā zahr hai fazāoñ meñ
ab kahāñ jā ke saañs lī jaa.e
bas isī soch meñ huuñ Duubā huā
ye nadī kaise paar kī jaa.e
agle vaqtoñ ke zaḳhm bharne lage
aaj phir koī bhuul kī jaa.e
lafz dhartī pe sar paTakte haiñ
gumbadoñ meñ sadā na dī jaa.e
kah do is ahd ke buzurgoñ se
zindagī kī duā na dī jaa.e
botaleñ khol ke to pī barsoñ
aaj dil khol kar hī pī jaa.e
dosti jab kisi se ki jae
dushmanon ki bhi rae li jae
maut ka zahr hai fazaon mein
ab kahan ja ke sans li jae
bas isi soch mein hun Duba hua
ye nadi kaise par ki jae
agle waqton ke zaKHm bharne lage
aaj phir koi bhul ki jae
lafz dharti pe sar paTakte hain
gumbadon mein sada na di jae
kah do is ahd ke buzurgon se
zindagi ki dua na di jae
botalen khol ke to pi barson
aaj dil khol kar hi pi jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.