bulbul gulon se dekh ke tujhko bigaD gaya
bulbul guloñ se dekh ke tujh ko bigaḌ gayā
qumrī kā tauq sarv kī gardan meñ paḌ gayā
chīñ-bar-jabīñ na ai but-e-chīñ rah ġhurūr se
tasvīr kā hai aib jo chehra bigaḌ gayā
aa.ī to hai pasand use chaal yaar kī
sun liijo paañv kabk-e-darī kā ukhaḌ gayā
pīchhe haTā na kūcha-e-qātil se apnā paañv
sar se taḌap ke chaar qadam aage dhaḌ gayā
khīñchī jo merī tarah se qumrī ne āh-e-sard
jaaḌe ke maare sarv chaman meñ akaḌ gayā
shīrīñ ke shefta hue parvez-o-kohkan
shā.ir huuñ maiñ ye kahtā huuñ mazmūn laḌ gayā
allāh-re shauq apnī jabīñ ko ḳhabar nahīñ
us but ke āstāne kā patthar ragaḌ gayā
darmāñ se aur dard hamārā huā do-chand
marham se daaġh siine meñ nāsūr paḌ gayā
guldasta ban ke raunaq-e-bazm-e-shahāñ huā
kuuḌā jo us faqīr ke takiye se jhaḌ gayā
niklā na jism se dil-e-nālāñ sharīk-e-rūh
manzil meñ rañg naaqa se apne bichhaḌ gayā
pahuñchā majāz se jo haqīqat kī kunah ko
ye jaan le ki rāste meñ pher paḌ gayā
furqat kī shab meñ ziist ne apnī vafā na kī
qabl-e-sahar charāġh hamārā na baḌh gayā
paatā huuñ shauq-e-vasl meñ ahbāb kī kamī
husn-o-jamāl-e-yār meñ kuchh farq paḌ gayā
lāshoñ ko āshiqoñ ke na uThvā galī se yaar
basne kā phir ye gaañv nahīñ jab ujaḌ gayā
dekhā tujhe jo ḳhūn-e-shahīdāñ se surḳh-posh
turk-e-falak zamīñ meñ ḳhajālat se gaḌ gayā
barsoñ kī raah aa ke azīzāñ nikal ga.e
afsos kārvāñ se maiñ apne bichhaḌ gayā
aayā jo sharh-e-la.al-e-lab-e-yār kā ḳhayāl
jhanDā qalam kā apne badaḳhshāñ meñ gaḌ gayā
maiñ nai liyā baġhal meñ parī-rū visāl ko
dev-e-firāq kashtī meñ mujh se bichhaḌ gayā
'ātish' na pūchh haal tū mujh dard-mand kā
siine meñ daaġh daaġh meñ nāsūr paḌ gayā
bulbul gulon se dekh ke tujh ko bigaD gaya
qumri ka tauq sarw ki gardan mein paD gaya
chin-bar-jabin na ai but-e-chin rah ghurur se
taswir ka hai aib jo chehra bigaD gaya
aai to hai pasand use chaal yar ki
sun lijo panw kabk-e-dari ka ukhaD gaya
pichhe haTa na kucha-e-qatil se apna panw
sar se taDap ke chaar qadam aage dhaD gaya
khinchi jo meri tarah se qumri ne aah-e-sard
jaDe ke mare sarw chaman mein akaD gaya
shirin ke shefta hue parwez-o-kohkan
shair hun main ye kahta hun mazmun laD gaya
allah-re shauq apni jabin ko KHabar nahin
us but ke aastane ka patthar ragaD gaya
darman se aur dard hamara hua do-chand
marham se dagh sine mein nasur paD gaya
guldasta ban ke raunaq-e-bazm-e-shahan hua
kuDa jo us faqir ke takiye se jhaD gaya
nikla na jism se dil-e-nalan sharik-e-ruh
manzil mein rang naqa se apne bichhaD gaya
pahuncha majaz se jo haqiqat ki kunah ko
ye jaan le ki raste mein pher paD gaya
furqat ki shab mein zist ne apni wafa na ki
qabl-e-sahar charagh hamara na baDh gaya
pata hun shauq-e-wasl mein ahbab ki kami
husn-o-jamal-e-yar mein kuchh farq paD gaya
lashon ko aashiqon ke na uThwa gali se yar
basne ka phir ye ganw nahin jab ujaD gaya
dekha tujhe jo KHun-e-shahidan se surKH-posh
turk-e-falak zamin mein KHajalat se gaD gaya
barson ki rah aa ke azizan nikal gae
afsos karwan se main apne bichhaD gaya
aaya jo sharh-e-lal-e-lab-e-yar ka KHayal
jhanDa qalam ka apne badaKHshan mein gaD gaya
main nai liya baghal mein pari-ru visal ko
dew-e-firaq kashti mein mujh se bichhaD gaya
'atish' na puchh haal tu mujh dard-mand ka
sine mein dagh dagh mein nasur paD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.